Saturday, August 11, 2007

..

Jaagti aankhon se dekh rahi hoon main sapne,
Na jaane kab se main soyi nahin hoon,
Hansti hoon kyunki main sehti hoon,
Apni baatein main khud se kahti hoon,
Khud se hee ulajh kar rah gayi hoon,
Tadapti hoon kab se main royi nahin hoon,
Raah nahin hai magar main chalti hoon,
Bemanzil ghar se roz nikalti hoon,
Shaayad kabhi khatm hogaa yeh raastaa,
Bhatki hoon kai baar main khoyi nahin hoon,
Lambi hai raat ki sooraj nahin aataa,
Thahri hoon main ki yeh pal hi nahin jata,
Jaagti aankhon se dekh rahi hoon main sapne,
Na jaane kab se main soyi nahin hoon....

-the girl.

No comments: